Udta Parinda
kuch pane ko,
Duniya ko kuch kar
dikhane ko.
Rah thi kathin,
bhari thi kaaton or
asafltaun se,
Paye bahut zakham,
or khoye apne sathi,
Par fir bhi data
raha main apne lakshye ko pane ko,
kyunki, uda tha main
kuch paane ko, duniya ko kuch kar dikhane ko..
Gira, gir kar utha,
Or ant mein payi
apni manzil,
Laga tha ab sab
hasil kar liya or tham gaya kuch pal,
Par thamte hi hua
ehsas ki kho diya,
khud ko or apne
chahne walo ko,
Par Uda to tha main
kuch pane ko,
Duniya ko kuch kar
dikhane ko..

Awesome bro
ReplyDeleteBhai it's awesome, keep writing ..
ReplyDeleteSuperb
ReplyDelete