Udta Parinda
Ud chala tha main, kuch pane ko, Duniya ko kuch kar dikhane ko. Rah thi kathin, bhari thi kaaton or asafltaun se, Paye bahut zakham, or khoye apne sathi, Par fir bhi data raha main apne lakshye ko pane ko, kyunki, uda tha main kuch paane ko, duniya ko kuch kar dikhane ko.. Gira, gir kar utha, Or ant mein payi apni manzil, Laga tha ab sab hasil kar liya or tham gaya kuch pal, Par thamte hi hua ehsas ki kho diya, khud ko or apne chahne walo ko, Par Uda to tha main kuch pane ko, Duniya ko kuch kar dikhane ko..